Khushi me waqat bari taizi se kuion guzarta hoa mehsoos hota he ????

Kia kabhi aisa hoa he jab aap boht kush ho or kisi manpasand sargrmi ka hisa ho to aisa mehsoos ho ke waqat to par lga KR guzar raha he 


Jab k jab bezar ya udas hon to waqat katna muskhal ho jata he ???


agr  han to aap akaily nhi aisa kroro afrad ke sath hota he or is ki wja aap ka demagh he.ye dawa America me hony wali aik nai tibi tehqiq me samny aya he.kolmbya University ki tehqiq ke mutabuq hmara dmagh waqt guzrny ke ahsas ko mukhtilf raftar se paish krta he.or is ka inhsar hmari musroofiat ya bezari pr hota he


Msal ke Tor pr jab aap koi aisa Kam kr rahy ho Jo makhsoos waqt me krna ho ya kisi pechda maqsad ko hasal krna xhahty ho to waqt urta hoa mehsoos hota he.isi trah game khailty hoy kisi achi film ko daikhty hoy ya kitab ka mutaly krty hoy bhi waqt ko pr lg jaty hen.

Is doran demagh mukhtilf manzar namo ko daikhta he jis ke natijy me lgta he ke jaisy waqt ko pr lg gay hen .or is ke barakss jab aap bezar hoty hen to demagh ke liye waqt ki raftar sust ho jati he .

Muhaqaqeen ke mutabuq demagh me waqt ke hwaly se mukhtilf meknizim hoty hen jin me se aik meknizim raftar ka he Jo ke dmagi khulyat ko muthrak kr ky kisi sargrmi ke liye net work tashkeel daita he..

Ye khulyat jitni taizi see apna Rasta bnaty hen utna he waqt humy tazi se guzrta mehsoos hota he.muhaqeen ka kehna he ke ye wazah nhi ke hmara demagh waqt ko traik krny ke hwaly se drust Kam kuo nhi krta mgr is ka bhi hmy faida he.
Unho ny btaya zindgi me mukhtilf waqiat paish aty hen jab bhi aap mazi me palt kr daiken to hmari yaden muktalif tariky see Kam krti hen


Msal ke Tor pr agr aap kisi taweel parwaz ko zehn me lain magar aap hmesha taweel parwazo ka hisa bnty rahy hen to aap ko wo boht taizi see yad ay gi 
Tehqiq me btaya Gea ke Umar ke sath waqt ki taiz raftari zyada taizi see guzarti mehsoos hony lgti he.bachpan me hmara demagh yadasht ke gunjan network ko tashksel daita he ta ke is zmany ke waqiat or tajurbat reh saken ..barh hony par log boht kuch daikh chuky hoty hen or un me is trah ke gunjan network ki zrurt nhi hoti...






ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے